Falak hai baadalon se bhara hua,
zameen tarasti hain paani ke liye.
Zehen hai lafzon se bhara hua,
ungliya tarasti hai likhne ke liye.
Shayar nahin kar rahein hain shayari,
Shayad hai unper kisi gam ka bhaar.
Sun ney ki aas mein hai duniya saari,
Fir Shayar habib ko kaisey karey inkaar.
Likhna tha sher, likh daali nazm,
Badla nahin kuch, per badal gaya dhang.
Shayari karne ki kabhi lee thee kasam,
Sher se muh modkar kar dee hai bhung.
- Shayar Dinesh 'Indorie' ;)
4 comments:
wah wah wah wah
arz kiya hai....
in umadte jazbaaton ko aaj na roko
kahi koi inke intezaar mein hai
aaj is ishrat ko tum gale laga lo
isi ke dam pe duniya barqaraar hai
kya baat hai!
mein shaayar tho nahin....;-)
Keshi.
Ravi: Shukriya aapka. Aapne bhi kya khoob kahi!! Zehnaseeb.
Truman: Thanks Adi :)
Bee: Bhavini..dhanyawaad :)
Keshi: haha..mein bhi koi khaas shayar nahin :D
Post a Comment