Patjhad ke in sundar patton ki vyatha ko chand panktiyon mein simatney ki koshish -
Patjhad ka mausam aaya.
Os ki boondon mein bhigey paate,
Kuch patte lal, kuch peeley pattey.
Lal jaisey zameen choone ko hon tadaptey,
Peeley ped se girney ke darr mein jhooltey.
Patjhad ke ye lal-peeley pattey.
Patjhad ka mausam aaya.
Din ki dheemi thand mein thiturtey,
Tehniyon se zameen ko ghoortey.
Chalti pawan ki madad se,
vriksh se bandhan todtey pattey.
Patjhad ke ye lal-peeley pattey.
Patjhad ka mausam aaya.
Chinar ke punch trikoni pattey,
Har aakaar, har prakaar ke pattey.
Pichley saavan ke murjhaate pattey.
Aglee bahaar na dekh sakengey,
Iss Patjhad ke laal-peeley pattey.
Os ki boondon mein bhigey paate,
Kuch patte lal, kuch peeley pattey.
Lal jaisey zameen choone ko hon tadaptey,
Peeley ped se girney ke darr mein jhooltey.
Patjhad ke ye lal-peeley pattey.
Patjhad ka mausam aaya.
Din ki dheemi thand mein thiturtey,
Tehniyon se zameen ko ghoortey.
Chalti pawan ki madad se,
vriksh se bandhan todtey pattey.
Patjhad ke ye lal-peeley pattey.
Patjhad ka mausam aaya.
Chinar ke punch trikoni pattey,
Har aakaar, har prakaar ke pattey.
Pichley saavan ke murjhaate pattey.
Aglee bahaar na dekh sakengey,
Iss Patjhad ke laal-peeley pattey.